hamein to harf-e-tamanna zaban pe lana hai ye sher aur ye ghazlen to bas bahana hai tumhaare hath ka patthar koi naya to nahin jabin se sang ka rishta bahut purana hai ho tere husn ka jadu ki mera josh-e-talab nasha ye donon ka ek din utar hi jaana hai wo musht-e-khak-badan ho ki jaan ki khushbu har ek chiz ko ek din bikhar hi jaana hai hai jazb-e-shauq barabar magar ba-faiz-e-ana na hum hi jaenge un tak na un ko aana hai