hamein zahid jo kafir jaanta hai to phir patthar ko tu kyun manta hai na puchha us ne mujh ko kaun hai tu hua sabit ki wo pahchanta hai na mujh se pher munh kafir khudara are quran kyun gardanta hai kahun kis se ki kya hai yar mera use kuchh mera ji hi jaanta hai bahut chaha na bolun yar tujh se magar zalim ye dil kab manta hai nahin chhalni hamara dil na hoga hamari baat kyun tu chhanta hai na denge jaan hum kahne pe us ke raqib-e-ru-siyah kyun tanta hai bhala kyun-kar use samjhae koi wo kafir kab kisi ki manta hai ghazab hai chhedna us fitna-gar ko ye 'anjum' dil mein kya tu thanta hai