na-jaane kaun tere kakh-o-ku mein aaega jo aaega wo meri aarzu mein aaega main jaanta hun mere baad mere marqad par koi ghubar meri justuju mein aaega yahi to soch ke jalte hain masjidon ke charagh darun-e-shab yahan koi wazu mein aaega tere khayal ki lau se chamak uthe hain huruf abhi to tu mere harf-e-numu mein aaega mujhe khuda se zara ham-kalam hone do tumhaara zikr bhi is guftugu mein aaega