hamesha jhut jo kahta raha sachcha nazar aaya burai jis ki fitrat hai wahi achchha nazar aaya hamare daur mein qadron ki pamali hui aisi buzurgon ke muqabil aaj ka bachcha nazar aaya wo dahshat-gard ke kartut the lekin zamane ko dhamakon ke pas-e-manzar mera chehra nazar aaya saja kar pyas honton par qarib aaya jo main us ke wo dariya bhi chamakti ret ka sahra nazar aaya thin jis ke dam se qaem anjuman ki raunaqen sari mujhe wo shakhs apni zat mein tanha nazar aaya 'said' us ki ghazal yun to bahut hi khubsurat thi magar kuchh sher the jin mein mujhe sarqa nazar aaya