hamesha muztarib maujon ko rakkha hai samundar ne

hamesha muztarib maujon ko rakkha hai samundar ne
safar ka istiara ban ke rahna hai samundar ne

meri khushiyon ke mol us ne kharida hai nasha apna
mere har chand ko khud mein duboya hai samundar ne

ajab tufan-e-gharran hai bapa har fard-e-khana mein
isi dalan se jaise guzarna hai samundar ne

ye musht-e-khak ne puchha hai aksar mauj mein aa kar
koi tufan mujh jaisa bhi dekha hai samundar ne

main apne aap se bach kar kahin bhi ja nahin sakta
mujhe chaaron taraf se gher rakkha hai samundar ne

koi bahar nikalta hi nahin apne jazire se
isi bais to itna sar uthaya hai samundar ne

kisi ka nam chhede ja raha hun kis bharose par
mera reg-e-badan jab noch lena hai samundar ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close