ghuncha chaTka na koi phul khila mere baad

ghuncha chatka na koi phul khila mere baad
main chala to na chali baad-e-saba mere baad

zulm ke hathon mere shahr se aane walo
aur kis kis ka wahan khun hua mere baad

hausla chahiye gulshan ki nigahbani ka
jaan-nashin kaun mera hoga bhala mere baad

ye mera khun-e-jigar hai ye mera khun-e-jigar
husn ho jae na muhtaj-e-hina mere baad

dushmani thi to faqat mere nasheman se thi
phir na aaya kabhi tufan-e-bala mere baad

koi kahta hai ye chupke se jaga kar mujh ko
kis ne duniya mein kiya sajda ada mere baad

kaise kaise zara main bhi to sunun han kahiye
aap ko kaun wafadar mila mere baad

rah dushwar to manzil hai bahut dur abhi
kash mil jae koi rah-numa mere baad

muskuraati jo kali khar mahakte 'mukhtar'
baghban aisa chaman mein na hua mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close