hamesha tamanna-o-hasrat ka jhagda hamesha wafa-o-mohabbat ka hullad thame kya tabiat ruke kis tarah dil ye aafat wo fitna ye aandhi wo jhakkad jo raaz-e-mohabbat ko jaanega koi to ye jaan le wo macha dega gadbad nazar ki tarah badh nazar ki tarah ruk nazar ki tarah mil nazar ki tarah lad mere dil ke hathon se bahr-e-wafa mein meri zindagi mein na ho jae gadbad kabhi kasrat-e-ranj-o-gham ka thapeda kabhi josh-e-ummid-o-hasrat ki ojhad kahan main hun aisa ki tu mehrban ho kahan qismat aisi ki aasan ho mushkil agar aur gahak nahin koi tera to ai khanjar-e-naz mere gale pad bashar kya farishte jo piten dhindhora to kyun kar chhupe raaz kam-bakht dil ka idhar aah nikli hamari zaban se udhar mach gaya sari duniya mein hullad sar-e-ham-sari husn-o-naz-o-ada mein na rakhta tha koi na rakkhega koi tera aks-e-aina hai aur tu hai jo ladna hai tujh ko to apne hi se lad bahaar-e-jawani hayat-e-jawani na ye ghair-fani na wo ghair-fani urus-e-chaman ka utarta hai gahna khizan ke zamane mein hoti hai patjhad hazaron mare hain hazaron mare hain hazaron marenge hazaron mitenge wo insan nahin us ko samjho farishta jo bardasht kar le mohabbat ki ojhad wo arz-e-tamanna ko fariyaad samjhe wo fariyaad ko gham ki rudad samjhe zara si meri baat thi lekin us ka hua rafta rafta kahan tak batangad udhar aish-o-ishrat idhar yas-o-hasrat jahan wale dekhen jahan ki do-rangi kahin koi paiham bachata hai baghlen koi pitta hai kahin sar dhada-dhad mohabbat ne chhoda ye turfa shagufa bahaar-e-jawani bhi dil ne na dekhi abhi phulne-phalne ke din kahan the magar kat gai nakhl-e-ummid ki jad jo ek jang-ju idrak sulh-ju ho to jhagda na utthe bakheda na uthe dil-o-dil-ruba mein nibhe kya mohabbat udhar wo bhi ziddi idhar ye bhi akkhad kiye saikdon ahd-o-paiman-e-ulfat magar khair se koi sachcha na nikla wo kahte hain milne ko ab hashr ke din kahin ho na jae kuchh us din bhi gadbad muqaddar mein likkha tha hun kar bigadna koi kyun na marta koi kyun na uthta zamin-doz ahl-e-zamin ho gae sab padi aasman se wo sar par do-hatthad jo nawak chale aur talwar nikli to qaem raha main hi ahd-e-wafa par kisi ne kisi ko bhi phir kar na dekha padi imtihan-ghar mein kuchh aisi bhagad samajhte hain aaghaz-o-anjam apna mah-o-mehr kya aaenge tere aage idhar se udhar un ka phir jaega munh lagaegi sharmindagi aisa thappad khayal-o-tasawwur mein hargiz na lana hansi dil-lagi mein hamesha udana mere daw-e-ishq ki qadr kya ho wo is ko samajhte hain majzub ki bad jahan dekhta hun wahan dekhta hun jidhar dekhta hun udhar dekhta hun mohabbat ki shorish mohabbat ki udham mohabbat ka ghaugha mohabbat ka hullad maza jab hai aapas mein kuchh jang bhi ho maza jang mein jab hai kuchh sulh bhi ho dikha de talawwun ka apne tamasha idhar lad udhar mil idhar mil udhar lad bahaya mazamin ka tum ne dariya ghazal mein bahut khub ashaar likkhe zamane ko ai 'nuh' hairat na kyun ho ki tufan aisa zamin aisi gadbad