viraniyon ke khar to phulon ki chhuwan bhi is rah mein aae hain bayaban bhi chaman bhi khulna tha faqat ek daricha mere ghar ka phir raushni bhi aai, hui dur ghutan bhi bachche ne sajai hai koi aur hi duniya khincha hai jahan bagh wahin rakkha hai hiran bhi yaad apne watan ki mujhe aati nahin ab to ab bhul chuka hoga mujhe mera watan bhi hassas bana dala mujhe had se ziyaada aur is pe mohabbat ne diya sher ka fan bhi kis khoj mein the shahr ke sab log na jaane chehron pe udasi bhi hai aankhon mein thakan bhi aasan nahin hai ye safar ruh ka 'saurabh' hail hai teri rah mein ek dasht-e-badan bhi