hamin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne yaqin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne mere khayal ko chori kiya kiya so kiya zamin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne makan banate rahe baam-o-dar sajate rahe makin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne asir aam se chehre ke ho ke baithe hain hasin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne baja ki hath ko thama baja liya bosa jabin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne tha zikr mujh ko bhulane ka han hi bol diya nahin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne