meri apnai hui qadron ne hi nocha mujhe tu ne kis tahzib ke patthar se la bandha mujhe main ne sahil par jala din maslahat ki kashtiyan ab kisi ki bewafai ka nahin khatka mujhe dast-o-pa basta khada hun pyas ke sahraon mein ai faraat-e-zindagi tu ne ye kya bakhsha mujhe chand kirnen jo mere kase mein hain un ke ewaz shab ke darwaze pe bhi dena pada pahra mujhe sathiyo tum sahilon par chain se soe raho le hi jaega kahin bahta hua dariya mujhe