hamin nahin gham-o-alam ke satae hue har ek shakhs koi dard hai chhupae hue tumhin ko yaro mubarak hon saghar-o-mina wo din gae the jo hum mai-kada sajae hue sabhi ko chahiye saqi ki multafit nazren magar hai saqi-e-dauran nazar chhupae hue bade jatan se jinhen muntakhab kiya hum ne wahi sire se hamin ko hain kyon bhulae hue chale bhi aao shab-e-hijr badhti jati hai charagh dil ke lahu se hain hum jalae hue hai bhola-bhaala sa chehra adaen bhi hain hasin buri nazar se rakho khud ko tum bachae hue kabhi to dekh meri samt ai jahan wale main ji raha hun yahan bar-e-gham uthae hue tere siwa na kisi aur dar pe mere khuda pade na jina kabhi mujh ko sar jhukae hue meri nigah mein 'sahir' azim log hain wo hamesha dil jo ibaadat mein hain lagae hue