chamakte taron pe tera hi nam likhte hain sunahre lafzon mein tujh ko payam likhte hain tere dayar pe jab ruk gae hain mere qadam tere hi dar pe to ab hum salam likhte hain sulagte shoale to hote hi hain jalane ko jo jal chuke hain wo zakhmi awam likhte hain ye kaise kaison ko hum ne banaya rah-numa halal chiz ko jo ab haram likhte hain bahut gharib hain bhuke hain ehtijajan hum bayaz-e-waqt pe ye subh-o-sham likhte hain unhen khabar nahin 'sahir' hum aaj hain aazad jo apne aap ko ab bhi ghulam likhte hain