hamin par dhup barsata hai suraj bhi muqaddar bhi darakht-e-mehrban koi kare saya to hum par bhi ayan hoti chali jati hain sab chehre ki tahriren hui jati hai na-kafi khamoshi ki ye chadar bhi badan ki raushni mein jo na dekha ja saka hum se usi shishe ke paikar mein dhadakta tha wo patthar bhi haqiqat se tasawwur tak safar mujh mein kiya us ne magar mujh tak nahin pahuncha wo itni dur chal kar bhi koi musa-o-isa-o-mohammad ab na aaega hamare na-tawan shanon pe hai kar-e-payambar bhi