hamin the aise sar-phire hamin the aise manchale ki tere gham ki raat mein charagh ki tarah jale mile koi to phir maze na zindagi ke puchhiye kate jo raat dair mein to mai-kade mein din dhale khili hui har ek kali mahak rahi hai shakh par to kuchh udas phul bhi pade hain shakh ke tale is anjuman ko kya hua na raushni na zindagi charagh o gul jale bujhe dimagh o dil mile dale ye baat talkh hai magar ye baat guftani bhi hai ki zahidan-e-khud-nigar se rind-e-ba-safa bhale ghurub-e-aftab par sitare muskurae hain ki ek diya bujha to kya hazar-ha diye jale 'shamim' manzil-e-talab qadam ko aa ke chum le agar qadam ko jod kar tamam karwan chale