wo dilbar hain to goya dilbari karni padegi unhin ke nam dil ki diary karni padegi wo un ko jaante hain aur un ke haal-e-dil ko so un ke doston se dosti karni padegi hamare darmiyan ye dukh hi qadr-e-mushtarak hain so hum ko ijtimai khud-kushi karni padegi badan ko ruh se mahrum kar dala gaya hai basar is taur hi ab zindagi karni padegi bulaya jae kaise us shanasa-e-sukhan ko bapa ek bazm-e-sher-o-shaeri karni padegi bahut muddat se hansna bhul kar baithi hui hai tumhein 'rakhshanda' shayad gudgudi karni padegi