han abhi kuchh der pahle sher ki gunji thi dhad ab to sannata hai shayad ho chuki ho chir-phad jism se pahra hata ye khurduri khaalen udhed khun ki jhadu se phir in haddiyon ki gard jhad zehan mein jab koi shirin ka tasawwur aa gaya sar pe teshon ko uthae daudte aae pahad wahshaten tarikiyan ruswaiyan barbaadiyan hae ummidon ki basti aur phir itni ujad justuju ki dhup mein jo chalte chalte mar gae un ki lashon ko utha kar nim ke sae mein gad raat bhar thande thapede dastaken dete rahe subh tak jage na the soe hue tere kiwad