meri chahaton ke sawal par koi muskura ke chala gaya mujhe phir se mausam-e-wasl ka wo hasin khwab dikha gaya dil-e-mezban mein ranj ka yahi muddaton se hai silsila koi din mein aa ke thahar gaya koi raat rah ke chala gaya wo milan ki awwalin saaten wo kisi ka lams inayaten kabhi wo khumar se tar hua kabhi mujh pe nashsha sa chha gaya yahi soch kar to main dang tha bhala main bhi kya koi sang tha ki wo kar-e-khair samajh ke yun mujhe raste se hata gaya gham-e-ashiqi ho tera bhala tujhe yaad rakkhunga main sada isi ek nam-e-wafa pe bas mujhe bar bar chhala gaya jinhen rakkha main ne sambhaal kar jo the jaan se bhi aziz-tar kabhi sail-e-ashk tha josh par wo unhi khaton ko gala gaya