han aur nahin ki bahami takrar dekhiye

han aur nahin ki bahami takrar dekhiye
inkar ke libas mein iqrar dekhiye

jo chhu rahe hain azmat-o-rifat ki sarhaden
wo raste azal se hain dushwar dekhiye

aawaz de raha hai yahi waqt ka naqib
mud mud ke ab na saya-e-diwar dekhiye

bahke qadam machalti nigahon ke sath sath
thahri hui hawa ki bhi raftar dekhiye

aankhon mein jag jae na nafrat ka dewta
duniya ke sath khud ko bhi ek bar dekhiye

zarf-o-zamir bech rahe hain agar janab
ek bar samt ru-e-kharidar dekhiye

kirdar aadmi ke liye lazmi sahi
shair ki zat chhodiye ashaar dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close