tamam raat mere sath phirta rahta hai

tamam raat mere sath phirta rahta hai
main so bhi jaun to aankhon mein chalta rahta hai

badan hai us ka ki jaise chinar ka mausam
wo apni aag mein har raat jalta rahta hai

mujhe kabhi jo rahe dhup ka safar dar-pesh
wo chhanw ban ke mere sath chalta rahta hai

wo ped sar ko jhukae khada jo rahta hai
wo mausamon ki bahut mar sahta rahta hai

phir is ke baad kahan jism-o-jaan sambhalte hain
wo mere hath mein shab bhar pighalta rahta hai

ghamon ki rut ho ya koi khushi ka mausam ho
badalte rahte hain mausam badalta rahta hai

'nadim' us se talluq to hum ne tod liya
magar ye dil hai ki ab bhi machalta rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close