han kabhi hai kabhi hai yar nahin

han kabhi hai kabhi hai yar nahin
han nahin ka kuchh eatibar nahin

sar mein sauda abas hai duniya ka
ghar kuchh aisa ye paedar nahin

qatil abru se tere darte hain
warna tegh aisi aabdar nahin

sang-e-tiflan se is liye dar hai
sar-e-shorida paedar nahin

chale jate hain rah-rawan-e-adam
sath walon ka eatibar nahin

phir kisi zulf ka hua sauda
be-sabab dil ko intishaar nahin

hum piyen khud pilae gar saqi
ahd yan aisa ustuwar nahin

un ke qaul-o-qarar ke hathon
kaun dil hai jo be-qarar nahin

dekh kar tujh ko hai ye sannata
dil bhi pahlu mein be-qarar nahin

mashal-e-dagh sath jaegi
khauf-e-tariki-e-mazar nahin

dekhen kya ho main hun barahna-pa
be-khalish koi nok-e-khar nahin

kis ke kahne se tark-e-mai 'talib'
kham hai shaikh pukhta-kar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close