main na hunga kabhi tujhse but-e-ayyar juda

main na hunga kabhi tujh se but-e-ayyar juda
aag patthar se nahin hone ki zinhaar juda

hashr tak honge na kuffar se din-dar juda
kahin tasbih se hoti nahin zunnar juda

farq zahir hai jo kuchh tair-o-insan mein hai
ho na phir kabk se kyon yar ki raftar juda

kis liye shaikh ko hai tarah-e-pur-pech pe naz
sar se mina ke bhi hoti nahin dastar juda

nind mein daulat-e-didar hui mujh ko nasib
khwab ke hote hain kya dida-e-bedar juda

koi nisbat nahin yusuf ko mere dilbar se
us ka bazar juda us ke kharidar juda

faisla kya ho do amle mein phanse hain aa kar
hai khafa maut juda yar hai bezar juda

wasta but se na hum ko na khuda se matlab
mazhab-e-rind juda millat-e-din-dar juda

qatl ko mere pari-ru mizha-o-abru ki
barchhi rakhte hain alag hoti hai talwar juda

tafraqa ho jasad-o-ruh mein parwah nahin
ho na aashiq se ye mashuq-e-tarahdar juda

in hasinon pe mare khalq na kyunkar 'talib'
sehr-e-guftar juda aur tarahdar juda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close