han kabhi ruh ko nakhchir nahin kar sakta tujh zaban ne jo kiya tir nahin kar sakta chand hota to ye mumkin tha magar chand nahin so main us shakhs ko taskhir nahin kar sakta main kahan aur ye aayat-e-khad-o-khal kahan mushaf-e-husn main tafsir nahin kar sakta aankh ne dekha sar-e-sham wo manzar 'fartash' karna chahun bhi to taswir nahin kar sakta