bujhti hui shamen hoti hain dube hue tare hote hain mahfil ke ujadne se pahle aasar ye sare hote hain barbaad-e-mohabbat par aisa ek daur bhi aa hi jata hai aaghosh mein suraj hota hai palkon pe sitare hote hain ye zarf hai zarf-e-fikr-o-nazar har dubne wala kya jaane be-bahr bhi tufan uthte hain be-mauj bhi dhaare hote hain nazzara to hai be-parda magar har dekhne wala kya dekhe jo zarf-e-nazar mein aa na saken aise bhi nazare hote hain tughyan-e-hawadis ki hamdam itni hi nawazish kya kam hai kashti na sahi sahil na sahi tufan to hamare hote hain