han kahin jugnu chamakta tha chalo wapas chalo

han kahin jugnu chamakta tha chalo wapas chalo
in surangon mein andhera hai to ho wapas chalo

hum ko har andhe ki fahm-e-manzilat ka hai shuur
kah raha hai qafile walon se jo wapas chalo

us taraf ke qahqahon ka raaz kuchh khulta nahin
is liye apne hi matam-zar ko wapas chalo

wapsi ke raste masdud ho jaane se qabl
kis liye tum ho asir-e-gomago wapas chalo

kab tak in aawara maujon ka tamasha dekhna
gin chuke ho saaton ke tar to wapas chalo

khel ka stage khali hai to kis ka intizar
jaane kab ka ho chuka hai khatm show wapas chalo

peshtar is ke ki apni dastanen bhul jao
shahr-e-afsun mein bhatakte rawiyo wapas chalo

aao ab chal kar zara ghar mein jalate hain charagh
chadar-e-zulmat utarne ko hai so wapas chalo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close