koi to hai ki nae raste dikhae mujhe hawa ke dosh pe aae ghazal sunae mujhe kise khabar hai ki jita hun jagta hun main wo ek shakhs har ek mod par bachae mujhe larazte panw bhi mere asa-ba-dast bhi main wo bazuon pe uthae kabhi chalae mujhe hai us ke nam ki mala mere labon ka subu main us ko sher sunaun wo gungunae mujhe wo aaina hai to aks-e-sahr hun main lekin wo apne aap ko dekhe kabhi sajae mujhe dukhon ke sard niwale ghamon ki garm zaban hansi hansi mein chhupae kabhi dikhae mujhe