han mahfil-e-yaran mein aisa bhi maqam aaya main khud ko bhula baitha jab bhi tera nam aaya main apne hi paikar se is darja pareshan tha socha ki bikhar jaun jab bhi tah-e-dam aaya duniya mein hazaron hain mansur bhi sarmad bhi kyun lauh-e-sadaqat par ek mera hi nam aaya kya jism ke zindan se aazad kiya mujh ko kya koi sar-e-maqtal yaro mere kaam aaya har shakhs ke chehre par ek karb ka manzar hai shayad lab-e-geti par takhrib ka nam aaya