jo ba-kirdar ho us ko siyani kaun kahta hai kisi mazdur ki beti ko rani kaun kahta hai bajat jab sare lag jaen wazarat ki hi kursi par to is tarz-e-maishat ko girani kaun kahta hai mohabbat ke fasane aaj bhi tahrir hote hain bahaar-e-zindagani ko purani kaun kahta hai meri nani sunati thi hikayat sat pariyon ki wo sachche pyar ki lori suhani kaun kahta hai nahin mitta mitane se kisi se pyar ka rishta mohabbat to haqiqat hai kahani kaun kahta hai ata umr-e-rawan ne ki hai jo saughat baalon ko utarti chandni ko naujawani kaun kahta hai sabhi ne aap-biti aur jag-biti kahi lekin mere andaz se sachchi kahani kaun kahta hai kuchh aise log hote hain jo mar ke bhi nahin marte hain jin ke nam zinda un ko fani kaun kahta hai jo mere lab nahin kahte mere ashaar kahte hain jo dil tahrir karta hai zabani kaun kahta hai 'sabila' apne gham ko main chhupa leti to hun lekin giraati hain jo aankhen un ko pani kaun kahta hai