han pahle darte the par ab mazaq karte hain hamare sath yahan sab mazaq karte hain hum apni zat ki sanjidgi pe hanste hain usul bante hain wo jab mazaq karte hain mujhe yaqin to hona ki main yaqinan hun main muntazir hun ki wo kab mazaq karte hain hamein qubul tahajjud ke waqt se pahle hum apni zat se har shab mazaq karte hain shab-e-firaq sahife mein jab hai dhal jati jo ashk zinda hon wo tab mazaq karte hain khud apne jaisa unhen bhi na sakht-gir bana kabhi kabhi to tere lab mazaq karte hain main be-saliqa khayalon ka moatadil misra sukhanwari ke jo hain dhab mazaq karte hain hamein bhi shauq hai dekhen hansi ko bante hue zara batao na wo kab mazaq karte hain main ungliyon ke tasarruf mein raushni rakh dun badan ke zawiye yarab mazaq karte hain agar na pure taqaze hon adl ke 'kazim' to kursiyon se bhi mansab mazaq karte hain