han tera mera fasla itna zarur tha

han tera mera fasla itna zarur tha
dil ke qarib ho ke nigahon se dur tha

sach bolne ki kis mein hai himmat jo sach kahe
sab jaante hain aadmi wo be-qusur tha

us ne gira diya tha magar main sanbhal gaya
diwangi mein bhi mujhe kitna shuur tha

main apne ghar mein aate hi tukdon mein bat gaya
kitna thaka hua tha badan chur-chur tha

kya puchhte ho haal dil-e-na-tawan ka ab
ek zarra us ki chashm-e-inayat se tur tha

manzar to aaftab se pahle bhi tha hasin
kase mein subh ke meri raaton ka nur tha

'sabir' ye kis ka raat ko didar ho gaya
tuta jo khwab mujh mein ajab hi surur tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close