suna hai koi to darwaza aasman mein hai

suna hai koi to darwaza aasman mein hai
mere khayal ka panchhi bhi kis udan mein hai

tujhe to ai dil-e-nadan zara shuur nahin
wo tujh ko yaad karega tu kis guman mein hai

bhatak raha hun main bhanwre ki tarah baghon mein
meri bahaar mere ghar ke phul-dan mein hai

alawa is ke mujhe kuchh sunai deta nahin
bhari hui koi aawaz mere kan mein hai

chala saka na kisi be-zaban par us ko
jo ek tir abhi tak meri kaman mein hai

hai jis zaban ka charcha tamam aalam mein
meri ghazal bhi to 'sabir' usi zaban mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close