han un se meri tarz-e-mulaqat alag hai

han un se meri tarz-e-mulaqat alag hai
diwana hun main meri har ek baat alag hai

ye dard ye sozish ye khalish aur ye aansu
jo aap ne bakhshi hai wo saughat alag hai

tum sozish-e-haalat se kis tarah bachoge
main khair se ji lunga meri baat alag hai

hai jurm yahan aarzu-e-subh-e-darakhshan
har raat se ai dost meri raat alag hai

kuchh der baras kar nahin thamte mere aansu
mausam ye nirala hai ye barsat alag hai

wo dhup main shabnam wo sharar aur main pani
hai us ki juda hasti meri zat alag hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close