jo tere naqsh-e-kaf-e-pa pe chal gae hote to mehr-o-mah se aage nikal gae hote tumhaara nam labon par jo aa gaya hota to girne wale yaqinan sanbhal gae hote hum apne josh-e-junun ko jo zabt kar jate to hadsat ke tewar badal gae hote samajh saka na koi azmat-e-wafa warna hamare khwab haqiqat mein dhal gae hote hamari tishna-labi maslahat samajh warna hamare waste shishe pighal gae hote chaman ko khun-e-jigar kaun bakhshta 'nadim' jo hum bhi jaanib-e-sahra nikal gae hote