han usi din dhup mein haryaliyan shamil huin is zamin ki zardiyon mein laliyan shamil huin baad-e-azadi mein hum sab nachne walon ke sath phul pahne raqs karti daliyan shamil huin bu-e-gul se jaaniye kyun bu-e-khun aane lagi bagh mein jab se teri rakhwaliyan shamil huin qahr to us waqt tuta tha saf-e-ada mein jab chashm-o-lab se qatl karne waliyan shamil huin khair ko shar aur shar ko khair karne mein yahan jaaniye kin kin ki bad-amaliyan shamil huin itna pyara ho gaya hun doston ko kya kahun jab bhi mera zikr aaya galiyan shamil huin