dil akela hi nahin raqs mein jaan raqs mein hai hum agar raqs mein hain sara jahan raqs mein hai hairat-e-aina tanha na yahan raqs mein hai jaane kya dekh liya dil ne ki jaan raqs mein hai chashm-e-saqi mein hai jis din se mera shisha-e-dil aalam-e-kar-gah-e-shisha-garan raqs mein hai jab se us nam ka aaya hai ada kar lena kaun jaane ye haqiqat ki zaban raqs mein hai ai 'dil' is bargah-e-husn mein hun jab se muqim ishq shayad ki meri tab-e-rawan raqs mein hai