hangam-e-naza girya yahan be-kasi ka tha tum hans pade ye kaun sa mauqa hansi ka tha uttha na meri gor se dushman bhi baith kar kya aalam aaj hae meri bekasi ka tha chhaya hai aasman ki tarah qabr-e-ghair par dil mein mere ghubar bhara jo kabhi ka tha dil ne mujhe kharab kiya ku-e-yar mein dushman par e'tibar mujhe dosti ka tha sahra mein phir rahe the sulaiman bane hue jis ko junun kahte hain saya pari ka tha dikh jaega dil is liye jari hue na ashk dekho to pas naza mein kitna kisi ka tha ye apni waza aur ye dushnam se farosh sun kar jo pi gae ye maza muflisi ka tha jis anjuman mein baith gaya raunaq aa gai kuchh aadmi 'riyaz' ajab dil-lagi ka tha