kis shai pe yahan waqt ka saya nahin hota ek khwab-e-mohabbat hai ki budha nahin hota wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari phirti hain wo shaklen jinhen dekha nahin hota barish wo barasti hai ki bhar jate hain jal-thal dekho to kahin abr ka tukda nahin hota ghir jata hai dil dard ki har band gali mein chaho ki nikal jaen to rasta nahin hota yaadon pe bhi jam jati hai jab gard-e-zamana milta hai wo paigham ki pahuncha nahin hota tanhai mein karni to hai ek baat kisi se lekin wo kisi waqt akela nahin hota kya us se gila kijiye barbaadi-e-dil ka hum se bhi to izhaar-e-tamanna nahin hota