hangam-e-shab-o-roz mein uljha hua kyun hun dariya hun to phir rah mein thahra hua kyun hun kyun meri jaden ja ke zamin se nahin miltin gamle ki tarah sahn mein rakkha hua kyun hun is ghar ke makinon ka rawayya bhi to dekhun tazin-e-dar-o-baam mein khoya hua kyun hun girti nahin kyun mujh pe kisi zakhm ki shabnam main qafila-e-dard se bachhda hua kyun hun aankhon pe jo utra na hua dil pe jo tahrir us khwab ki tabir se sahma hua kyun hun din bhar ke jhamelon se bacha laya tha khud ko sham aate hi 'ashfaq' main tuta hua kyun hun