kya khabar thi raaz-e-dil apna ayan ho jaega kya khabar thi aah ka shola zaban ho jaega hashr hone de sitamgar hum dikha denge tujhe pyara pyara ye gareban ungliyan ho jaega raat bhar ki hain bahaaren shama kya parwana kya subh hote hote rukhsat karwan ho jaega hashr mein insaf hoga bas yahi sunte raho kuchh yahan hota raha hai kuchh wahan ho jaega is ko kahte hain jahan mein log sachchi ulfaten tir jab dil se khichega to kaman ho jaega aadi sidhi padti hain nazren tumhin par aaj to majma-e-tar-e-nazar kya baddhiyan ho jaega hai yahi rang-e-sukhan to 'shair' shirin-zaban tu bhi ek din tuti-e-hindustan ho jaega