hangama-e-hasti se guzar kyun nahin jate raste mein khade ho gae ghar kyun nahin jate mai-khane mein shikwa hai bahut tira-shabi ka mai-khane mein ba-dida-e-tar kyun nahin jate ab jubba-o-dastar ki waqat nahin baqi rindon mein ba-andaz-e-digar kyun nahin jate jis shahr mein gumrahi aziz-e-dil-o-jaan ho us shahr-e-malamat mein khizar kyun nahin jate tosha nahin koi nasim-e-sahari ka be-rahila o zad-e-safar kyun nahin jate shayad ki shanasa ho koi be-hunari ka kyun darte ho bazar-e-hunar kyun nahin jate har lahza hai jo sar ke liye ek nai thokar us zillat-e-har-roz se mar kyun nahin jate hum jis ke liye zinda hain ba-haal-e-pareshan ab wo bhi ye kahta hai ki mar kyun nahin jate kyun gosha-e-khalwat se nikalte nahin 'aslam' baithe hain jidhar log udhar kyun nahin jate