achchha hai tu ne in dinon dekha nahin mujhe duniya ne tere kaam ka chhoda nahin mujhe han thik hai main bhula hua hun jahan ko lekin khayal apna bhi hota nahin mujhe ab apne aansuon pe hai sairabi-e-hayat kuchh aur is falak pe bharosa nahin mujhe hai mehrban koi jo kiye ja raha hai kaam warna maash ka to saliqa nahin mujhe ai rah-guzar-e-silsila-e-ishq-e-be-lagam jaana kahan hai tu ne bataya nahin mujhe hai to mera bhi nam sar-e-fahris-e-junun lekin abhi kisi ne pukara nahin mujhe