hangama-e-sukut bapa kar chuke hain hum ek umr us gali mein sada kar chuke hain hum apne ghazal-e-dil ka nahin mil raha suragh sahra se shahr tak to pata kar chuke hain hum ab tesha-e-nazar se ye dil tutta nahin is aaine ko sang-numa kar chuke hain hum har bar apne panw khala mein atak gae sau bar khud ko rizq-e-hawa kar chuke hain hum ab is ke baad kuchh bhi nahin ikhtiyar mein wo jabr tha ki khud ko khuda kar chuke hain hum