har ek sans ke pichhe koi bala hi na ho main ji raha hun to jina meri saza hi na ho jo ibtida hai kisi intiha mein zam to nahin jo intiha hai kahin wo bhi ibtida hi na ho meri sadaen mujhi mein palat ke aati hain wo mere gumbad-e-be-dar mein gunjta hi na ho bujha rakhe hain ye kis ne sabhi charagh-e-hawas zara sa jhank ke dekhen kahin hawa hi na ho ajab nahin ki ho us aastan pe jamm-e-ghafir aur us ko mere siwa koi dekhta hi na ho wo dhund dhund ke ro ro pade hamare liye so dur dur tak apna ata-pata hi na ho