hanpti naddi mein dam TuTa hua tha lahr ka

hanpti naddi mein dam tuta hua tha lahr ka
waqia hai ye september ki kisi sah-pahr ka

sarsarahat rengte lamhe ki sarkandon mein thi
tha nasha sari faza mein naginon ke zahr ka

thi sadaf mein raushni ki bund tharrai hui
jism ke andar kahin dhadka laga tha qahr ka

dil mein thin aise fasad-amada dil ki dhadkanen
ho bhara balwaiyon se chauk jaise shahr ka

aasman utra kinaron ko milane ke liye
ye bhi phir dekha ki pal tuta hua tha nahr ka

aish-e-be-miad milti par kahan milti tujhe
meri mitti ki mahak mein shaiba hai dahr ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close