KHwab bikhrenge to hum ko bhi bikharna hoga

khwab bikhrenge to hum ko bhi bikharna hoga
shab ki ek ek aziyyat se guzarna hoga

wo hamare hi rag-o-pai mein nihan rahta hai
is ki tasdiq to ek din hamein karna hoga

apne khakistar-e-tan ko liye kuche kuche
kya hawaon ki tarah mujh ko guzarna hoga

hamein ahbab ki be-laus rifaqat ke sabab
waqt aaega to be-maut bhi marna hoga

honge sahraon ke sannate nazar ki had mein
koi wadi na koi khwab na jharna hoga

aaina aaina khud sari dishaen hongi
aks-dar-aks magar hum ko ubharna hoga

chikhte khwabon ki tabir yahi kahti hai
hogi hadtal kahin to kahin dharna hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close