hans ke paimana diya zalim ne tarsane ke baad aaj nazuk se lab-e-saqi hain paimane ke baad khum-kadon mein kuchh na hoga ek paimane ke baad rah nahin sakti kabhi mai-lab tak aa jaane ke baad main hun saqi hai shab-e-khalwat hai daur-e-jam hai bose par bosa hai paimana hai paimane ke baad waqt hai aisa tha rukhsat ho gai un ki haya baat hi aisi thi khul khele wo sharmane ke baad chhedte hain pa ke mauqa un ke utre haar bhi bante hain kyun dil hamara phul murjhane ke baad husn ho ya ishq hoti hai buri dil ki lagi jal-bujhi ro ro ke aakhir shama parwane ke baad kah ke main dil ki kahani kis qadar khoya gaya hain fasanon par fasane mere afsane ke baad be-khudi gum-gashtagi sukr-o-tahayyur mahwiyat kuchh maqamat aur bhi padte hain maikhane ke baad dur tak shohrat hai us ki tur kahte hain jise be-charagh ek jalwa-gah hai mere virane ke baad koi hire ki kani se kam na tha hangam-e-zabt kuchh hamein pina pade aansu bhi gham khane ke baad ishq ki tarikh dohrai zamane ne zarur nam paya qais ne bhi tere diwane ke baad shor hai rahna qayamat se bahut hi hoshiyar un ke kuche se uthi hai thokaren khane ke baad taba ho bhi to kahin diwan mera ai 'riyaz' dekhne ki chiz hoga ye sanam-khane ke baad