marhale sakht imtihan ke hain chal pade hum bhi sina tan ke hain aasman zer-e-par hain jo tair meri hi sath ki udan ke hain mushtail rahne den inhen ki bujhaen ye charagh apne hi makan ke hain kaun kahta hai shab ko shab na kaho kuchh qarine bhi to zaban ke hain aadmi ab kahan zamin pe rahe sab farishte hi aasman ke hain jin ke shab-khun se hai dukhi ye zamin jaane wo log kis jahan ke hain zad pe hum hain to zad pe tum bhi ho tir hum bhi kadi kaman ke hain