hans raha hoga shikari jal phailate hue

hans raha hoga shikari jal phailate hue
khauf aata hai mujhe ghar laut kar jate hue

mangte hain log pani ki dua ba-chashm-e-nam
khush hai baadal har taraf tezab barsate hue

khamushi to masale ka hal nahin lagti hai aur
baat bigdi hai hamesha baat manwate hue

mukhtalif hai soch us ki main ne chaha tha magar
mera bachcha ho bada kal mujh ko dohraate hue

khwahishon ne kar diya ruswa sar-e-bazar yun
ab zarurat ro rahi hai hath phailate hue

main usi aawaz ke pichhe chala hun jhum kar
aage aage chal raha hai rasta gate hue

kanp uthta hai dil-e-'maqsud' gham ke nam par
main to ek ek dard sah leta hun muskate hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close