muddat se wo khushbu-e-hina hi nahin aai shayad tere kuche ki hawa hi nahin aai maqtal pe abhi tak jo tabahi nahin aai sarkar ki jaanib se gawahi nahin aai duniya ka har ek kaam saliqe se kiya hai hum logon ko bas yaad-e-khuda hi nahin aai jis waqt ki wo hath chhudane pe ba-zid tha us waqt koi yaad dua hi nahin aai lahje se na zahir ho ki hum us se khafa hain jine ki abhi tak ye ada hi nahin aai rukhsat use ba-dida-e-nam kar to diya tha phir is se badi dil pe tabahi nahin aai milti to zara puchhte ahwal hi us ka afsos idhar baad-e-saba hi nahin aai