hanse roe phire ruswa hue jage bandhe chhute gharaz hum ne bhi kya kya kuchh mohabbat ke maze lute kaleje mein phaphule dil mein dagh aur gul hain hathon par khile hain dekhiye hum mein bhi ye ulfat ke gul-bute tafawut kuchh nahin gulchin mein aur be-dard khuban mein jo us ke hath gul tute to in ke hath dil tute hazaron galiyan din phir zara hans kar idhar dekha bhala itni tasalli se phaphule dil ke kab phute kuchalte ho mujhe tum main ye mangun hun dua dil mein koi dilbar mere aage tumhein bhi khub sa kute zaban ki kar ke miqraaz aur bana dushnam ka kaghaz hamare haq mein kya kya aap ne katre hain gul-bute ye kahte hain ki aashiq chhut jata hai aziyyat se jab us ki umr ko lashkar ajal ka aan kar lute hamari ruh to phirti hai mashuqon ki galiyon mein 'nazir' ab hum to mar kar bhi na is janjal se chhute