zindagi ko zakhm ki lazzat se mat mahrum kar raste ke pattharon se khairiyat malum kar tut kar bikhri hui talwar ke tukde samet aur apne haar jaane ka sabab malum kar jagti aankhon ke khwabon ko ghazal ka nam de raat bhar ki karwaton ka zaiqa manzum kar sham tak laut aaunga hathon ka khali-pan liye aaj phir nikla hun main ghar se hatheli chum kar mat sikha lahje ko apni barchhiyon ke paintare zinda rahna hai to lahje ko zara masum kar